Fazaa`il-e-Ramazan Shareef . Ibadat ka darwazah


Durood Shareef ki Fazeelat

Huzoor ﷺ ka farman hay: Bayshak baroz-e-qiyamat logon may say mayray qareeb tar woh ho ga jo
mujh par sab say ziyadah Durood bhayjay.

صلی اللہ علی محمد صلی اللہ علیہ وسلم
Meethay meethay Islami bhaiyon Allah  kay karorrha
karorr Ihsan kay us nay hamayn maah-e-ramazan jaysi
‘azeem-us-shan na’mat say sarfaraz farmaya. Maah-eRamazan kay faizan kay kiya kahnay! Is ki to har gharri rahmat bhari hay, Ramazanul-Mubarak may har nayki ka sawab 70 guna ya is say bhi ziyadah hay.
(Mirat, vol. 3, pp. 137)Nafl ka sawab farz kay barabar aur farz ka sawab 70 guna kar diya jata hay, ‘arsh
uthanay walay firishtay rozah daron ki du’a par Aameen kahtay hayn aur farman-eMustafa ﷺ 
kay mutabiq: Ramazan kay rozah daaron kay liye machhliyan
iftar tak du’a-e-maghfirat karti rahti hayn.
(At-Targheeb wat Tarheeb, vol. 2, pp. 55, Hadees. 6)

Ibadat ka darwazah
Fazaa`il-e-Ramazan Shareef . Ibadat ka darwazah
Fazaa`il-e-Ramazan Shareef . Ibadat ka darwazahHuzoor nay farmaya: Rozah ‘ibadat ka darwazah hay.

(Al-Jami’-us-Saghir, pp. 146, Hadees 2415)Is maah-e-mubarak ki aik khususiyyat yeh bhi hay kay Allah  nay is may Quran
Pak naazil farmaya hay. Chunan-chay parah 2 surah Baqarah Aayat 185 may
muqaddas Quran may Allah 
ka farman hay:
   Tarjamah Kanz-ul-Iman: Ramazan ka maheenah, jis may Quran utra, logon kay liye hidayat aur
rahnumaye aur fayslay ki roshan Baatayn, to Tum may jo koi yeh maheenah paaye zaroor is kay
rozay rakhay aur jo beemar ya safar may ho, to utnay rozay aur dinon may. Allah 
tum par
aasani chahta hay aur tum par dushwari nahin chahta aur is liye kay tum ginti poori karo aur
Allah 
ki barraye bolo is par kay us nay tumhayn hidayat ki aur kahin tum haq guzar ho.

Fazaa`il-e-Ramazan Shareef . Ibadat ka darwazah Fazaa`il-e-Ramazan Shareef . Ibadat ka darwazah Reviewed by WafaSoft on February 08, 2020 Rating: 5

No comments:

Adsense 728x90

Powered by Blogger.